Chaadar baraf ki bichhayi thi mausam ne,.
Kambal nam OOns ki odhi thi raahon ne,.
Fir bhi chubhati nam hawayen, chhu na saki mujhe,.
Meri thandi aanhon ko jhakda tha, uski bahon ne..
Han aayi thi mai, khud me simat kar, thand me lipat kar,.
Chupke-chupke Usse milne, sari duniya se chhip kar,.
Bhuli nahi mai, mere kadamon ki dabi aahat,.
Har kadam badha rahi thi mai, Katra-katra kar..
Uljhane badhai thi meri, in sard hawaon ne,.
Dikha uska saya mujhe, dhundh ki chhaw me,.
Lipat kar usse kaha maine, Kyun khade ho in sunsan rahon me?
Wo bola- Gaur se dekho!!! Kitna intazaar hai meri nigahon me...
Dam ghutane laga tha mera, hawa ki kaid me,.
Uski bahon me mili, meri saanso ko aajadi,.
Ye jhoke thand ke, chhune lage jab mujhe,.
Uski chhuwan ne di mujhe, narm garmi ki waadi,.
Najdikiyan hontho ki, badhaati rahi dil ki aag,.
Aakhir!! Ye band honth mere, ho gaye raaji..
Din dhal chuka tha, baadalon ne ghera fir se aasmaan..
Ab wapas laut rahi thi, Ujaalo me jiti waadiyan,.
Mai bhi uthi, ghar wapas jane ko!! to Usne kaha-
Tera didar baanki hai, Tu kal fir aana yahan..
Thaam kar hath uska mai boli-
Tera pyaar mai kaise bhul paungi..
Dur rah kar tujhse, mai bejaan si ho jaungi..
Ye mausam chahe badalte rahen..
Wada hai mera, Mai Fir Aaungi..
Mai Fir Aaungi..
No comments:
Post a Comment