Kash! hoti har dard ki jubaan,.
To aasan hota karna, Takleef byaan..
Jab lagti chot dil par, sile lab karte aaram..
Kash! hoti har dard ki jubaan..
Na bechain hote jajbaat, Na ro-ro kar katti raat..
Ehsason ko na hoti ghutan, siskiyo me aawaze na hoti gum..
Na khota subah ka suraj, Na thahrati sunheri shaam..
Kash! hoti har dard ki jubaan..
Dil ke parinde dete, har waar ka jwaab..
Aasuen aankho se na behaten be-hisaab..
Lekha-jhokha har takleef ka hota mehfuz..
Bolte dard ki bhi, ek hoti kitab..
Dil ke karobar me, na hoti dard ki dukan..
Kash! hoti har dard ki jubaan..
Darta insan bhi kisi ko dard dene me..
Muskurahat raaj karti, dil ke kone me..
Na hota, bikhare rishton ka bojh..
To sukun milta, dil ko kaid hone me..
Paas hota apne pyaar ka har mukaam..
Kash! hoti har dard ki jubaan..
Bheegte na nazren, aansuon k chhiton se..
Chahat ko dhundhati nigahen, chhipti na farebo se..
Jhurriyan paresani ki, na basati apna dera..
Chehre ki chamak, na mitti kore khaufo se..
Rab ko na kosta, koi insaan..
Kash! hoti har dard ki jubaan..
No comments:
Post a Comment