Shikayat wahi, meri chuppi wahi,.
Jab maa meri puchhe-
" Ye sirhane me tere daag kaisa?
Na nam ghar ki diwaar hai,.
Tujhe sardi hai, na bukhar hai..
To bol sirhane me tere daag kaisa? "
Mere Jwab me itni takat nhi,.
ki sabdo ke jaal jakad le us swaal ko,.
Nazre chura kar, khud ko bacha kar..
Kah deti hun- " mujhe maloom nahi."
Juthi need ke bahane jab simat kar soti hun..
Maa puchhe mujhse- " tujhe takleef kya hai? "
Chadar ko sir tk sarka kar, chehre ko hatho se chhipa kar..
Kahti hun mai-
" Dard hai thoda theek ho jayega..
Need aate hi dur ho jayega."
Maa Kahe tab- " Kya mai madat karun teri?"
Na chah kar bhi kahti hun mai-
" Nahi Maa!! Jarurat nahi."
Mere dard me na jane, kitna dard wo sahti hai..
Chehra mera padh kar bhi chup hi rahti hai..
Gum-sum, berang si meri jindgi me,.
Apni har chhoti-2 khushiya, mujhe saupa karti hai..
Kaise kahun mai tujhe maa ki-
" WO MERI PARWAH NAHI KARTA."
Kaise kahun mai tujhse maa ki-
" Wo daag mere aansuon ki parchhai hai..
Kisi ko chahti hun mai, khud se badkar..
Yahi mere aansuon ki sachchai hai.."
Akash mera gum-naam nahi.
Sahi-galat ki mujhme pahchan nahi.
Muskil hua hai, fir se muskura ke jeena,.
Tut-2 kar judna mera, ab aasan nhi..
Tujhe pata hai meri har bat kanhi..
Mite se mere sapne, khoye se armaan kai..
Han mai janti hun Maa..
Tu meri takleef se anjan nahi..

No comments:
Post a Comment